Hadees: Teen (3) Roshan Dino Ka Roza

Hadith: Fasting (roza) The Three Bright Days




Hadith: Fasting The Three Bright Days
●~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●



‏ أَخْبَرَنَا مَخْلَدُ بْنُ الْحَسَنِ قَالَ حَدَّثَنَا عُبَيْدُ اللَّهِ عَنْ زَيْدِ بْنِ أَبِي أُنَيْسَةَ عَنْ أَبِي إِسْحَقَ عَنْ جَرِيرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ عَنْ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ صِيَامُ ثَلَاثَةِ أَيَّامٍ مِنْ كُلِّ شَهْرٍ صِيَامُ الدَّهْرِ وَأَيَّامُ الْبِيضِ صَبِيحَةَ ثَلَاثَ عَشْرَةَ وَأَرْبَعَ عَشْرَةَ وَخَمْسَ عَشْرَةَ.
─────────────────────



रसूल अल्लाह (ﷺ) ने फरमाया: "हर महीने तीन रोज़े रखना (सवाब के लिहाज़ से) ज़माने भर के रोज़ों के बराबर है, और अय्याम-ए-बैज़ (चमकती रातों वाले दिन) तेराह (13), चौदह (14) और पंद्रह (15) हैं।"
─────────────────────



Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Har mahine 3 rozay rakhna (sawab ke lihaaz se) zamane bhar ke rozon ke barabar hai. aur ayyaam-e-baez (chamakti raton walay din) terah (13), chudah (14) aur pandrah (15) hain."
─────────────────────



رسول اللہ (ﷺ) نے فرما یا: ’’ہر مہینے تین روزے رکھنا (ثواب کے لحاظ سے) زمانے بھر کے روزوں کے برابر ہے۔ اور ایام بیض (چمکتی راتوں والے دن) تیرہ، چودہ اور پندرہ ہیں۔‘‘
─────────────────────



The Prophet Muhammad (ﷺ) said: "Fasting three days of each month is fasting for a lifetime, and the shining days of Al-Bid, the thirteenth, fourteenth and fifteenth."
─────────────────────



[Sunan Nasa'i-2422, Grade Hasan]
●~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●



Wazahat: Inhe ayyam e baez (Al-bid) isliye kaha jata hai ke in ki raatein chandani ki wajah se safed aur roshan hoti hain. Agar hadees ke alfazon pe gor kiya jaaye toh har mahina ka zikr naa ki kisi makhsoos mahine ka, yaani agar har mahine ki 13, 14 aur 15 ko roze rakhe jaaye toh zindagi bhar roze rakhne ka ajro sawab miliga.

Aur isi tarah 15 shabaan ko rozay ke liye makhsoos karna sahih nahi hai, lekin agar woh is bina par roza rakh raha hai ke ye ayyaam e baez yaani har mah ki tarah 13 14 aur 15 tareekh ko roza rakhna mashru hai, ya phir woh jumeraat ya somwaar ka roza rakhta tha aur 15 shabaan uske mawafiq hui toh is aitbaar se roza rakhne mein koi harj nahi, lekin us mein is ka aitqaad nahi hona chahiye ke is se usay ajro sawaab zeyada haasil hoga.
●~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●



Daily Updates: Whatsapp Group Join Karne Ke Liye Whatsapp Par message karein...

Post a Comment

0 Comments