Hadith On Duties: Enough Sin For Man To Neglect His Dependents
(Insan Ke Liye Apne Kafilon Ko Nazar Andaz Karna Gunah Kaafi)
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
"-قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: "كَفَى بِالْمَرْءِ إِثْمًا أَنْ يُضَيِّعَ مَنْ يَقُوتُ
──────────────────────────────
नबी करीम (ﷺ) ने फ़रमाया: "आदमी के गुनहगार होने के लिए ये काफ़ी है कि वो उन लोगों को जिनके खर्च की ज़िम्मेदारी इस के ऊपर है ज़ाए कर दे।"
──────────────────────────────
Nabi kareem (ﷺ) ne farmaya: "Aadmi ke gunehgaar honay ke liye ye kaafi hai ke woh un logon ko jin ke kharch ki zimma daari is ke oopar hai zaya kar de."
──────────────────────────────
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: "آدمی کے گنہگار ہونے کے لیے یہ کافی ہے کہ وہ ان لوگوں کو جن کے اخراجات کی ذمہ داری اس کے اوپر ہے ضائع کر دے ۔"
──────────────────────────────
The Messenger(ﷺ) of Allah said: "It is sufficient sin for a man that he neglects him whom he maintains."
──────────────────────────────
[Sunan Abi Dawud-1692 Grade Hasan]
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
Wazahat: Yani jin ki zimmedari iske zimme ho uss se chodkar kisi dosre neki ke kaamo me apna maal kharch karey. Iss hadees ka matlab ye hai ke apne ahlo ayal ki zimmedari se be-parwahi itna bara gunah hai ke agar us ke nam e aamaal mein is kotahi ke elawa koi aur gunah naa bhi ho, tab bhi Allah ke girft mein hoga. Ahlo Ayal ke ilawa khadim aur nokar chaakar bhi aa jate hain, kyun ke insaan unki bhi khoraak ka zimmedar hota hai, jis se ye wazeh hota hai ke khadimon, mulazimo aur nokron chakaron ki bhi khoraak aur insani zaruriyat ka muhayya karna maalik ki zimmedari hai, aur is mein kotahi karne wala Allah ke yaha jawab deh hoga.
Daily Updates: Whatsapp Group Join Karne Ke Liye Whatsapp Par message karein...
0 Comments
Please do not enter any spam link in the comment box.