Hadees: Juma Ki Fazilat

Juma Ki Fazilat | Virtue of friday | hadith | hadees




Hadith On friday: Virtue Of Friday
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●



The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Allah sent astray from Friday those who came before us, so the Jews had Saturday and the Christians had Sunday. Then Allah, the Mighty and Sublime, brought us and guided us to Friday, so there is Friday, Saturday and Sunday, and thus they will follow us on the Day of Resurrection. We are the last of the people of this world but the first on the Day of Resurrection for whom judgment will be passed before all other creatures."
──────────────────────────────


‏ أَخْبَرَنَا وَاصِلُ بْنُ عَبْدِ الْأَعْلَى، ‌‌‌‌‌‏قَالَ:‌‌‌‏ حَدَّثَنَا ابْنُ فُضَيْلٍ، ‌‌‌‌‌‏عَنْ أَبِي مَالِكٍ الْأَشْجَعِيِّ، ‌‌‌‌‌‏عَنْ أَبِي حَازِمٍ، ‌‌‌‌‌‏عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، ‌‌‌‌‌‏وَعَنْ رِبْعِيِّ بْنِ حِرَاشٍ، ‌‌‌‌‌‏عَنْ حُذَيْفَةَ، ‌‌‌‌‌‏قَالَا:‌‌‌‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‌‌‌‏ أَضَلَّ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ عَنِ الْجُمُعَةِ مَنْ كَانَ قَبْلَنَا فَكَانَ لِلْيَهُودِ يَوْمُ السَّبْتِ،‌‌‌‏ وَكَانَ لِلنَّصَارَى يَوْمُ الْأَحَدِ،‌‌‌‏ فَجَاءَ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ بِنَا فَهَدَانَا لِيَوْمِ الْجُمُعَةِ فَجَعَلَ الْجُمُعَةَ وَالسَّبْتَ وَالْأَحَدَ،‌‌‌‏ وَكَذَلِكَ هُمْ لَنَا تَبَعٌ يَوْمَ الْقِيَامَةِ،‌‌‌‏ وَنَحْنُ الْآخِرُونَ مِنْ أَهْلِ الدُّنْيَا وَالْأَوَّلُونَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ الْمَقْضِيُّ لَهُمْ قَبْلَ الْخَلَائِقِ .
──────────────────────────────


रसूल अल्लाह ﷺ ने फरमाया: "अल्लाह ताला ने हमसे पहले वालों को जुमा से भटका दिया, यहूद के लिए हफ़्ता सनीचर का दिन मुक़र्रर हुआ, और नस्रानियों के लिए इतवार का, फिर अल्लाह ताला हमें लाया तो उसने हमें जुमा के दिन से नवाज़ा, तो अब पहले जुमा है, फिर हफ़्ता सनीचर फिर इतवार, इस तरह ये लोग क़यामत तक हमारे ताबे होंगे, हम दुनिया में बाद में आए हैं मगर क़यामत के दिन पहले होंगे।"
──────────────────────────────


رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: "اللہ تعالیٰ نے ہم سے پہلے والوں کو جمعہ سے بھٹکا دیا، یہود کے لیے ہفتہ ( سنیچر) کا دن مقرر ہوا، اور نصرانیوں کے لیے اتوار کا، پھر اللہ تعالیٰ ہمیں لایا تو اس نے ہمیں جمعہ کے دن سے نوازا، تو اب ( پہلے ) جمعہ ہے، پھر ہفتہ ( سنیچر ) پھر اتوار، اس طرح یہ لوگ قیامت تک ہمارے تابع ہوں گے، ہم دنیا میں بعد میں آئے ہیں مگر قیامت کے دن پہلے ہوں گے"۔
──────────────────────────────

Rasool Allah ﷺ ne farmaya: "Allah ta'ala ne hum se pehle walon ko jume se bhatka diya, yahood ke liye hafta sanichar (saturday) ka din muqarrar huwa, aur nasraniyon ke liye itwaar (sunday) ka, phir Allah taala hame laya to us ne hame jume ke din se nawaza, to ab pehle juma hai, phir hafta sanichar phir itwaar, is tarah yeh log qayamat tak hamare tabay honge, hum duniya mein baad mein aaye hain magar qayamat ke din pehle honge."
──────────────────────────────

[Sunan Nasai-1369, Sahih]
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●


Wazahat: Jume se bhatakne ka matlab ye hai ke Allah taala ne inhen jume aur uske ilawa dosre dinon ke ikhteyar ki tofeeq di, lekin unhon ne usay ikhteyar naa kar ke dosra din ikhteyar kiya. Yeh ummat Mohammediya par Allah taala ki inayat hui ke duniya mein un ko sab ke baad rakha, aur akhirat mein sab se pehle rakhega, duniya mein baad mein rakhne ki wajah yeh bhi hai ke yeh ummat pichhli ummaton par gawah hai jaise ke quran mein waarid hai, jume ki fazilat yahood aur nasara ko nahi mili, unhon ne is din ko pehchan ne mein ghalti ki, aur ummat Muhammadiya ko Allah taala ne saaf khol kar yeh din bayan kar diya, aur jume ki takhsees ki wajah yeh hui ke Allah taala ne insaan ki paidaish isi din ki, yani aadam alaihe salam ko isi din paida kiya, pas har ek insaan par is din apne maalik ka shukar ada karna farz hua, aur qayamat bhi isi din aayegi, goya shuru aur khatma dono isi din hain.

[Tirmidhi-488]
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Daily Updates: Whatsapp Group Join Karne Ke Liye Whatsapp Par message karein.

Post a Comment

0 Comments