Hadees: Allah Ke Nazdeek Duniya Ki Haisiyat

Hadees: Allah Ke Nazdeek Duniya Ki Haisiyat | status of world




Hadith: The Status Of The World In The Sight Of Allah
●~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●



قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‌‌‌‏ "لَوْ كَانَتِ الدُّنْيَا تَعْدِلُ عِنْدَ اللَّهِ جَنَاحَ بَعُوضَةٍ مَا سَقَى كَافِرًا مِنْهَا شَرْبَةَ مَاءٍ، ‌‌‌‌‌‏وَفِي الْبَابِ عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ-"
──────────────────────────────


नबी करीम (ﷺ) ने फ़रमाया: "अल्लाह ताला के नज़दीक दुनिया की हैसियत अगर एक मच्छर के पर के बराबर भी होती तो वो किसी काफ़िर को उस में से एक घूँट पानी भी ना पिलाता।"
──────────────────────────────


Allah ke rasool (ﷺ) ne farmaya: "Allah taala ke nazdeek duniya ki hesiyat agar ek machchar ke par ke barabar bhi hoti to woh kisi kafir ko us mein se ek ghoont pani bhi nah pilata."
──────────────────────────────


نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: "اللہ تعالیٰ کے نزدیک دنیا کی وقعت اگر ایک مچھر کے پر کے برابر بھی ہوتی تو وہ کسی کافر کو اس میں سے ایک گھونٹ پانی بھی نہ پلاتا۔"
──────────────────────────────


Messenger of Allah (ﷺ): "If the world to Allah was equal to a mosquito's wing, then He would not allow the disbeliever to have a sip of water from it."
──────────────────────────────



[Jamiat Tirmidhi-2320, Grade: Sahih]
●~•~•~•~•~•~•~•~~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●



Wazahat: Allah taala ki nigah mein duniya ki koi qadr wa qeemat nahi hai balke ye haqeer se haqeer chiz hai iske haqarat ki daleel ye hai ke agar Allah ke nigah mein iss duniya ki koi qadr wa qeemat hoti toh isse sirf apne mehboob bando ko nawazta, jab ke haal ye hai ke usse apne dushman yaani kuffar wa mushriqeen ko deta hai, ye mumkin hi nahi hai ke dene wala apne dushman ko woh chiz de jo uske nazdeek qadr wa qeemat wali ho, kafir ko jannat ki adni nemat se isiliye mehroom rakha gaya hai kyun ke jannat Allah ke mehboob bando ke liye hai, naa ke uss ke dushmano ke liye, maloom hua ke Allah ke nazdeek duniya aur uss ke maal wa asbaab ki qattan koi ahemiyat nahi hai, lehaza ahle imaan ke nazdeek bhi uski zeyada ahemiyat nahi honi chahiye balke usse aakhirat ki zindagi sawarne ka ek zariya samajhna chahiye.
●~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●



Daily Updates: Whatsapp Group Join Karne Ke Liye Whatsapp Par message karein...

Post a Comment

0 Comments