Hadith On Reliance: Trust In Allah, But Tie Your Camel
●~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
قَالَ رَجُلٌ يَا رَسُولَ اللَّهِ أَعْقِلُهَا وَأَتَوَكَّلُ أَوْ أُطْلِقُهَا وَأَتَوَكَّلُ؟
قَالَ: " اعْقِلْهَا وَتَوَكَّلْ "
──────────────────────────────
एक शख़्स ने अर्ज़ किया अल्लाह के रसूल (ﷺ) क्या मैं ऊंट को पहले बांध दूं फिर अल्लाह पर तवक्कल करूँ या छोड़ दूं फिर तवक्कल करूँ?
आप (ﷺ) ने फ़रमाया "उसे बांध दो, फिर तवक्कल करो"।
──────────────────────────────
Ek shakhs ne arz kiya: Allah ke rasool (ﷺ)! kya main oont ko pehle bandh du phir Allah par tawakkal karu ya chhor du phir tawakkal karu?
Aap (ﷺ) ne farmaya : ”Use baandh do, phir tawakkal karo“.
──────────────────────────────
ایک شخص نے عرض کیا: اللہ کے رسول (ﷺ)! کیا میں اونٹ کو پہلے باندھ دوں پھر اللہ پر توکل کروں یا چھوڑ دوں پھر توکل کروں؟
آپ (ﷺ) نے فرمایا: ”اسے باندھ دو، پھر توکل کرو“۔
──────────────────────────────
A man said: O Messenger of Allah (ﷺ)! Shall I tie camel and then rely (upon Allah), or leave it loose and rely (upon Allah)?
He (ﷺ) said: Tie camel and then rely (upon Allah).
──────────────────────────────
[Jami'at Tirmidhi-2517, Grade Hasan]
●~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
Wazahat: Insaan ke liye tawakkal aur bharosa karte waqt manzil imtehaan yahi hai ke woh Allah ke faraham kardah maadi zaraye aur asbaab ko istemaal kare, kaam kare magar un asbaab par aetmaad naa karte hue Allah par bharosa kare aur Allah se lau lagaye.
Bina koshish kar insaan ko tawakkal karne ke liye nahi kaha gaya, balkay kaam karne ke sath sath Allah par bharosa aur tawakkal insaan ko sahih nateeja deta hai aur woh bhi uss waqt ke jab woh apne kaam, apne kaarobar, apni mulazmat ya sirf apne maadi wasail ke taabe nahi rehta, balkay unko istemaal karne ke sath sath apne paalne (ALLAH) wale par bharosa kare.
●~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
Daily Updates: Whatsapp Group Join Karne Ke Liye Whatsapp Par message karein...
0 Comments
Please do not enter any spam link in the comment box.