Hadith: Paradise Is Obligatory On Whom?
●~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: مَنْ قَالَ:
"رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالْإِسْلَامِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ رَسُولًا"
وَجَبَتْ لَهُ الْجَنَّةُ.
─────────────────────
रसूल अल्लाह (ﷺ) ने फरमाया: जो शख़्स कहे,
"रज़ितु बिल्लाही रब्बा व बिल इस्लामी दीना वबि मुहम्मदिन रसूला"
"मैं अल्लाह के रब होने, इस्लाम के दीन होने और मुहम्मद (ﷺ) के रसूल होने पर राज़ी हुआ"
तो जन्नत उसके लिए वाजिब हो गई।
─────────────────────
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: Jo shakhs kahe,
"Razitu billahi Rabba wabil Islami dina wa bi Muhammadin Rasula"
"Main Allah ke rab hone, islam ke deen hone aur Mohammad (ﷺ) ke rasool hone par raazi hua"
To jannat uske liye wajib ho gayi.
─────────────────────
رسول اللہ (ﷺ) نے فرما یا: جو شخص کہے:
"رضيت بالله ربا وبالإسلام دينا وبمحمد رسولا"
"میں اللہ کے رب ہونے، اسلام کے دین ہونے اور محمد (ﷺ) کے رسول ہونے پر راضی ہوا"
تو جنت اس کے لیے واجب ہو گئی ۔
─────────────────────
The Prophet (ﷺ) said: If anyone says'
"Razitu billahi Rabba wabil Islami dina wa bi Muhammadin Rasula"
"I am pleased with Allah as Lord, with Islam as religion and with Muhammad (ﷺ) as Messenger"
Paradise will be his due.
─────────────────────
[Sunan Abi Dawud-1529, Grade: Sahih]
●~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
Wazahat: "Rab" Allah taala ke Asma Hasna mein se hai, jis ke maane hain har cheez ko paida kar ke us ki zaruriyat muhayya karne aur us ko takmeel tak pohachane wala, baghair izaafat ke us ka istemaal Allah ki zaat ke ilawa kisi aur ke liye jaaiz nahi, aur isi robubiyat ka taqaza hai ke aadmi sirf aur sirf Allah taala ki ibadat kare, kyun ke wohi bartar o baala muqaddas zaat ibadat ke mustahiq hai. Yahan rab maane ka maane wa matlab us rab ke liye har tarah ki ibadat ko khaas karna hai, isliye ke Allah ko qayenaat ka khaaliq wa maalik maane aur us ki robubiyat ko tasleem karne mein mushriqeen arab wa ghair arab ko aitraaz naa tha, unka asal marz yahi tha ke woh Allah ko rab aur khaaliq wa maalik mante hue us ki ibadat mein dosro ko shareek karte the. Islam ko bator deen tasleem karne ka matlab yeh hai ke islam ke tareeqe ko chhor kar koi aur tareeqa apni zindagi mein naa apnaye Mohammed (ﷺ) ko nabi tasleem karne ka matlab yeh hai ke aap (ﷺ) ke amawir wa nawahi ko har cheez par muqaddam rakhe. Aur har chhoote bade muamlay mein aap (ﷺ) ke hukm ko baghair kisi behas aur aitraaz ke qubool kare, basharte ke us ne shirk, bida'at ko amal mein shamil naa kiya ho aur bad-amali ka shikaar naa hua ho.
●~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
Daily Updates: Whatsapp Group Join Karne Ke Liye Whatsapp Par message karein...
0 Comments
Please do not enter any spam link in the comment box.