Hadees: Jannat Me Dakhil Hone Waali Auratein

Hadees: Jannat Auratein hadith women paradise



Hadith: Women Entering Paradise
●~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●



"-قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‌‌‌‏ "أَيُّمَا امْرَأَةٍ مَاتَتْ وَزَوْجُهَا عَنْهَا رَاضٍ دَخَلَتِ الْجَنَّةَ."
──────────────────────────────


नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: "जो औरत इस हाल में मरे की उसका शौहर उस से राज़ी हो तो वो जन्नत में दाख़िल होगी।"
──────────────────────────────


Nabi kareem ﷺ ne farmaya: "Jo aurat is haal mein marey ke uska shohar us se raazi ho to woh jannat mein daakhil hogi."
──────────────────────────────


نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، ”جو عورت اس حال میں مرے کہ اس کا شوہر اس سے راضی ہو تو وہ جنت میں داخل ہو گی ۔“
──────────────────────────────


The Messenger of Allah ﷺ said: "Any woman who dies when her husband is pleased with her, will enter Paradise.”
──────────────────────────────



[Sunan ibne Majah-1854, Grade Hasan Sahih]
●~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●



Wazahat: Isliye biwiyon ko chahiye ke shohar ki ita'at wa farmabardari ko Allah aur uske rasool (ﷺ) ki ita'at samajh kar usme sabqat karen, agar unhon ne ye kaam dil sozi, khuloos aur yaksoi se kar liya to na sirf akhlaqi umoor mein khush gawari paida hogi, aur gharelo zindagi pyar wa mohabbat aur barkat se malamaal hogi, balke ek biwi ke liye apni aaghbat banane aur Allah swt ko khush karne ka bhi yahi zariya hai. Shohar ke muqaam wa martaba bayan karte hue nabi kareem (ﷺ) ne farmaya: 
"Agar main (ﷺ) kisi ko kisi ke liye sajda karne ka hukm deta to main aurat ko hukm deta ke woh apne shohar ko sajda kare."
[Tirmidhi-1159]
Wahi dusri taraf jo aurtein apne khawind ko takleef deti hain, pareshan karti hain unke talluk se hadeeson mein ata hai ke,
"Jo aurat apne shohar ko duniya mein takleef pohanchati hai to (jannat ki) badi aankhon wali hooron mein se uski biwi kehti hai: Tu usay takleef na de. Allah tujhe halaak kare, yeh to waise bhi tere paas bas musafir hai, qareeb hai ke yeh tujhe chhor kar hamare paas aa jaye." 
[Tirmidhi-1174]
Isliye har aurton ko chahiye ke wo apne shohar ki khidmat kar unhe raazi kare, unke jayez karar hukm par amal kar ke farmabardar bane.
●~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●



Daily Updates: Whatsapp Group Join Karne Ke Liye Whatsapp Par message karein...

Post a Comment

0 Comments