Hadith: About Dangerous Negligence & Unrestrained Cowardice
●~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
"-قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: "شَرُّ مَا فِي رَجُلٍ شُحٌّ هَالِعٌ وَجُبْنٌ خَالِعٌ
──────────────────────────────
नबी करीम (ﷺ) ने फ़रमाया: "आदमी में पाई जाने वाली सबसे बुरी चीज़ इंतेहा को पहुंची हुई बख़ीली (कंजूसी/लालच) और सख़्त बुज़दिली है।"
──────────────────────────────
Nabi kareem (ﷺ) ne farmaya: "Aadmi mein payi jane wali sab se buri cheez inteha ko pohonchi hui bakhili (kanjusi/lalach) aur sakht buzdili hai."
──────────────────────────────
نبی کریم (ﷺ) نے فرمایا: "آدمی میں پائی جانے والی سب سے بری چیز انتہا کو پہنچی ہوئی بخیلی اور سخت بزدلی ہے ۔"
──────────────────────────────
The Prophet (ﷺ) said: "What is evil in a man are alarming niggardliness and unrestrained cowardice."
──────────────────────────────
[Sunan Abu Dawood-2511, Grade Sahih]
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~••~•~•~•~••~•~•~•~•~•~•~●
Wazahat: Bakheel us shakhs ko kehte hain jo apne zimma wajib kharchay ada nah kare, chunancha jo shakhs apne zimma tamam wajib kharchay ada kar de to usay bakheel nahi kaha jayega, bakheel wohi hai jo laazmi aur zaroori kharchay ada naa kare. Woh shakhs jahan par kharch karne ki zaroorat ho wahan par kharch nah kare, chahay woh zaroorat Shariat ki roshni mein ho ya murawwat ki roshni mein, to aise mein us ki miqdaar Moueen karna mumkin nahi hota. Mard ki zimma daari hai ke woh apni biwi aur aoulaad par araf ke mutabiq kharch kare. Ahlo Ayal ke nan wa nafqe mein khana pina, libaas, rehaish aur deegar biwi aur bachon ki zarooriyat shaamil hain ke jin ke baghair guzara mumkin nahi jaise ke ilaaj, taleem aur deegar zaroori akhrajaat waghera.
Allah taala ne Qur'an mein farmaya:
"Sahib e haisiyat apni haisiyat ke mutabiq kharch kare aur jis par rizq mehdood kar diya gaya hai to woh us mein se kharch kare jo Allah taala ne usay ataa kiya hai, Allah taala kisi nafs ko itna hi muklif banata hai jitna Allah ne usay diya hai."
[Qur'an 65:7]
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
Daily Updates: Whatsapp Group Join Karne Ke Liye Whatsapp Par message karein...
0 Comments
Please do not enter any spam link in the comment box.