Hadith On Hypocrites: The Deed Most Loved By Allah
●~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ سَدِّدُوا وَقَارِبُوا وَأَبْشِرُوا فَإِنَّهُ لَنْ يُدْخِلَ الْجَنَّةَ أَحَدًا عَمَلُهُ قَالُوا وَلَا أَنْتَ يَا رَسُولَ اللَّهِ قَالَ وَلَا أَنَا إِلَّا أَنْ يَتَغَمَّدَنِيَ اللَّهُ مِنْهُ بِرَحْمَةٍ وَاعْلَمُوا أَنَّ أَحَبَّ الْعَمَلِ إِلَى اللَّهِ أَدْوَمُهُ وَإِنْ قَلَّ
───────────────────────
रसूल अल्लाह (ﷺ) ने फरमाया: "सही अमल करो, (आला तरीन मयार के) क़रीब-तर रहो और (अल्लाह के रहमत की) ख़ुश-ख़बरी (की उम्मीद) रखो। हक़ीक़त यही है कि किसी को उसका अमल हरगिज़ जन्नत में दाख़िल नहीं करेगा।"
सहाबा ने कहा: अल्लाह के रसूल (ﷺ) आपको भी नहीं?
आप (ﷺ) ने फ़रमाया: "मुझे भी नहीं, इला ये कि अल्लाह मुझे अपनी रहमत से ढाँप ले, और जान रखो कि अल्लाह के नज़दीक महबूब तरीन अमल वो है जो हमेशा किया जाये, चाहे कम हो।"
───────────────────────
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Sahih amal karo, (aala tareen miyaar ke) qareeb tar raho aur (Allah ke rehmat ki) khush khabri (ki ummeed) rakho. Haqeeqat yahi hai ke kisi ko uska amal hargiz jannat mein daakhil nahi karega."
Sahaba ne kaha: "Allah ke Rasool (ﷺ) aap ko bhi nahi?
Aap (ﷺ) ne farmaya: "Mujhe bhi nahi, ila ye ke Allah mujhe apni rehmat se dhaanp le, aur jaan rakho ke Allah ke nazdeek mehboob tareen amal woh hai jo hamesha kiya jaye, chahe kam ho."
───────────────────────
ررسول اللہ ﷺ نے فرمایا :"صحیح عمل کرو ، (اعلی ترین معیار کے) قریب تر رہو اور (اللہ کی رحمت کی) خوش خبری (کی امید) رکھو ۔ حقیقت یہی ہے کہ کسی کو اس کا عمل ہرگز جنت میں داخل نہیں کرے گا ۔‘‘
صحابہ نے کہا : "اللہ کے رسول ! آپ کو بھی نہیں؟"
فرمایا :’’مجھے بھی نہیں، الا یہ کہ اللہ مجھے اپنی رحمت سے ڈھانپ لے، اور جان رکھو کہ اللہ کے نزدیک محبوب ترین عمل وہ ہے جو ہمیشہ کیا جائے، چاہے کم ہو۔‘‘
───────────────────────
The Prophet (ﷺ) said: "Observe moderation (in doing deeds), and if you fail to observe it perfectly, try to do as much as you can do (to live up to this ideal of moderation) and be happy for none would be able to get into Paradise because of his deeds alone."
They (the Companions of the Holy Prophet) said: "Allah's Messenger (ﷺ), not even you?"
Thereupon he (ﷺ) said: "Not even I, but that Allah wraps me in His Mercy, and bear this in mind that the deed loved most by Allah is one which is done constantly even though it is small."
───────────────────────
[Sahih Muslim-7122]
●~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
Wazahat: Iss hadees me Rasool Allah (ﷺ) ne kisi bhi amal ko karne me miyaana rawi ikhtiyaar karne ka hukm diya hai yaani kisi nek amal ko karne me hadd se bahar na nikle aur isme hikmat ye hai ke jab koi shaks miyana rawi ke sath amal karega to wo amal karne me aajzi ka shikaar nahi hoga wo apni isteta'at ke mutabiq pur sukoon amal karega aur iske bar aqs agar koi shaks amal karne me hadd se tajawus karega to wo susti wa kahili ka shikaar hoga ya uss amal ko karna chhod dega aur Rasool Allah (ﷺ) ne aage iss hadees me farmaya ke Allah ke nazdeek pasandida Amal wo hai jispe insaan hameshgi kare agarche wo amal kam hi kyun na ho, misaal ke taur par koi shaks ye irada karta hai ke mai raat ko tahajjud padhunga wo shaks raat ko 2 ya 3 din qayam karta h aur 11 rakat namaz ma witr lambe lambe qayam ke sath padhta hai lekin phir agle din wo iss baat ko sochke ke" itni lambi rakat aur itna lamba qayam karna hoga ye sochkar susti ka shikar hokar raat ko qayam karna hi tark kar deta hai, halanke uske paas gunjaish thi ki rakaat me kami aur qayam Mukhtasar karde lekin wo zyada amal krne ke chakkar me wo susti wa kaheli ka shikar ho kar amal karna hi tark karde, lehaza iss hadees me yahi bayan kiya gaya hai ke amaal me miyana rawi ikhtiyar karey hadd se aage na badhe".
Wallahu alam
●~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
Daily Updates: Whatsapp Group Join Karne Ke Liye Whatsapp Par message karein...
0 Comments
Please do not enter any spam link in the comment box.