Hadith: When Allah Loves Someone
●~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: "إِذَا أَحَبَّ اللَّهُ عَبْدًا نَادَى جِبْرِيلَ إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ فُلَانًا فَأَحِبَّهُ ، فَيُحِبُّهُ جِبْرِيلُ ، فَيُنَادِي جِبْرِيلُ فِي أَهْلِ السَّمَاءِ إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ فُلَانًا فَأَحِبُّوهُ ، فَيُحِبُّهُ أَهْلُ السَّمَاءِ ، ثُمَّ يُوضَعُ لَهُ الْقَبُولُ فِي أَهْلِ الْأَرْضِ ."
─────────────────────
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Jab Allah taala kisi bande se mohabbat karta hai to Jibrael (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ko awaaz deta hai ke Allah fulan bande se mohabbat karta hai tum bhi us se mohabbat karo. Jibrael (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) bhi us se mohabbat karne lagte hain, phir woh tamaam aasmaan walon mein awaaz dete hain ke Allah fulan bande se mohabbat karta hai, tum bhi us se mohabbat karo. Phir tamam aasmaan walay us se mohabbat karne lagte hain. Us ke baad woh zameen mein bhi (Allah ke bando ka) maqbool aur mehboob ban jata hai."
─────────────────────
रसूल अल्लाह (ﷺ) ने फ़रमाया: "जब अल्लाह तआला किसी बंदे से मुहब्बत करता है तो जिब्राईल (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) को आवाज़ देता है कि अल्लाह फ़ुलां बंदे से मुहब्बत करता है तुम भी उस से मुहब्बत करो। जिब्राईल (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) भी उस से मुहब्बत करने लगते हैं, फिर वो तमाम आसमान वालों में आवाज़ देते हैं कि अल्लाह फ़ुलां बंदे से मुहब्बत करता है, तुम भी उस से मुहब्बत करो, फिर तमाम आसमान वाले उस से मुहब्बत करने लगते हैं। उसके बाद वो ज़मीन में भी अल्लाह के बंदों का मक़बूल और महबूब बन जाता है।"
─────────────────────
The Prophet (ﷺ) said: "If Allah loves a person, He calls Gabriel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) saying: 'Allah loves so and so; O Gabriel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) love him.' Gabriel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) would love him, and then Gabriel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) would make an announcement among the residents of the Heaven, 'Allah loves so-and-so, therefore, you should love him also.' So, all the residents of the Heavens would love him and then he is granted the pleasure of the people of the earth."
─────────────────────
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جب اللہ تعالی کسی بندہ سے محبت کرتا ہے تو جبرائیل علیہ السلام کو آواز دیتا ہے کہ اللہ فلاں بندے سے محبت کرتا ہے تم بھی اس سے محبت کرو۔ جبرائیل علیہ السلام بھی اس سے محبت کرنے لگتے ہیں، پھر وہ تمام آسمان والوں میں آواز دیتے ہیں کہ اللہ فلاں بندے سے محبت کرتا ہے۔ تم بھی اس سے محبت کرو۔ پھر تمام آسمان والے اس سے محبت کرنے لگتے ہیں۔ اس کے بعد وہ زمین میں بھی ( اللہ کے بندوں کا ) مقبول اور محبوب بن جاتا ہے۔"
─────────────────────
[Sahih Bukhari-6040]
●~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
Wazahat: Har amal ka phal hota hai aur har phal apne darakht ki jins se hota hai chunancha jis ne Allah taala ke pasandeeda aur mehboob kaam kiye to woh insaan rab taala ka mehboob ban jata hai aur jis ke aamaal napasandeedah hain to woh Allah taala ka mabgooz banda ban jata hai.
Bande ka Allah taala se mohabbat karna asal shaan nahi balke asal shaan ye hai ke rab Qayenaat tujh se pyar kare, lehaza tujhe kamyabi wa nijaat, nek bakhti, Saadat wa bhalai aur duniya wa aakhirat mein qabuliyat bhi milegi. Hai afsos! jis insaan ko Allah taala dushman samjhe, uska thikana bohat bura hai aur woh duniya aur aakhirat mein khasara panay wala aur napasandeedah shakhsiyat hai.
Rab Qaayenaat ke mehboob bande ka thikana aur badla Maroof hai, chunancha Allah azzo wajal jannat ke mukhtalif darjaat mein se kisi mein dakhila naseeb farmayega aur apne chehre ke didaar ke sath apni Raza mandi ka mazeed izafa usay muhayya karega.
Daily Updates: Whatsapp Group Join Karne Ke Liye Whatsapp Par message karein...
0 Comments
Please do not enter any spam link in the comment box.